Dayaar-e-dil ki Raat meiN ChiraagH saa jalaa gayaa
Milaa nahiN to kyaa huaa woh Shakl to dikhaa gayaa
JudaaioN ke ZakHm dard-e-Zindagi ney bhar diye
Tujhe bhi Neend aa gai mujhe bhi Sabr aa gayaa
Yeh subha ki SafediyaaN yeh dopehar ki ZardiyaaN
Ab Aaine meiN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa
Pukaarti haiN FursateiN kahaaN gaiN woh SohbateiN
ZameeN nigal gai unheiN yaa Aasmaan khaa gayaa
Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui
Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa
yeh kis kHushi ki Rait par gHamoN ko Neend aa gai
Wo lehar kis taraf gai ye maiN kahaaN samaa gayaa
Gaye dinoN ki Laash par paRey rahoge kab talak
alam-kashoN utho key aftaab sar par aa gayaa
(Nasir Kazmi)