dawaa e dil

lo gi es forum k dukhi logon k leay main nai solution dhoond lea hai :smiley:

Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka
Dar-o-Deewaar Se Hee Keh Lia Hai

Re: dawaa e dil

Darpok aashiq :hehe:

Re: dawaa e dil

aur nateejatan, agar is 'amal se 'aashiqaan-e-naa_kaam ke kashaane be_dar_o_deevaar ho gaye to? :hmmm:

Re: dawaa e dil

mareez nai hal dil kehna hai dar o diwaar se, munh se aag k golay thorri nikalnay hain jo dar o divaar urr jayen gy :smiley:

Re: dawaa e dil

jb rasaee hi na ho to bahadri kaisay dikhaye ga aashiq. aap buzdili ka ta’na dy kr aashiq ko littar parrwana chahtay hai :hehe:

Re: dawaa e dil

^ bhai, 'ishq meN Haal e dil kahne ke saath sar bhii deevaar se phoRnaa paRtaa hai…ab shiddat jitnii hogii utnaa hii nuqsaan bhii hogaa! … maiN kachchii deevaaroN kaa zikr e Khair kar rahaa thaa…:stuck_out_tongue:

vaise, naakaam 'aashiqoN kii aaheN gola-baarood se kia kam hotii haiN? :hmmm:

Re: dawaa e dil

agar mehoob sirf ideal ki had tak na ho to rasai ke imkanaat to hote hain… mera khayal hai ye kisi darpok aashiq ki aap beeti hai

Re: dawaa e dil

rasaee se meri murad rasm o rah ki thi. rasm o rah aur wasta hi na rahy to koe kyon kar hal e dil sunaana chahy ga. aur wesay bhi agr pata ho k kehnay per suni un-suni ho jaye gi to es se behtar hai dar o diwaar se keh lain :D

Re: dawaa e dil

takkron se bachnay ki hi to dawa btaaeee hain en aashiqon ko :stuck_out_tongue:

Re: dawaa e dil

agar aashiq ne thoRsi ghairat kar ke chup saadh hi li thi, to kia ye zaroori tha ke deewaron ke kaan khae jate? :p

Re: dawaa e dil

^ dil ki tasalli k leay :p

Re: dawaa e dil

Tu phir App bhi dewarun ko sunaye us ka fasanaaa :omg: