kiya sunau tumko main apne safar ki dastaan
na koi rahbar tha mera na koi tha kaarwaan
chal raha tha zindagi bhar ik andhari raah main
door tak taarikiyaan thi dhundh thi aur tha dhuaan
sochta tha aaik din peechey ye gham reh jaayega
khatma hokar na dia lakin ye gham ka aasmaan
kiyoun bhatakta mai na phirta dehar ke tufan main
nakhuda koi na tha kashti meri thi bekaraan
yaad bhi mit jaaygi meri mere marne ke saath
na raheyga naam mera na mera koi nishaan