Dastan_e_Dil

"KHUD HI KO KAR MOTA ITNA
K HAR DINNER SAY PAHLAY
MAIZBAN TUJHSAY YEH KHUD POOCHAY
BATAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA
TERI GHIZA KIA HAI …

:)

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
:)
[/QUOTE]

;)

To Yeh Bhi Likhna

" udaasiyon ka sabab jo likhna... to yeh bhi likhna.... k chand taare....shahaab....aankhen badal gaye hain voh zinda lamhe... jo teri raahon mein, tere aane k muntazir thhe.... voh thhak k saayon mein dhal gaye hain.... voh teri yaaden..... khayal tere.... voh ranj tere... malaal tere..... voh teri aankhen..... sawal tere..... voh tum se mere tamaam rishte..... bichhad gaye hain.....ujar gaye hain.... udaasiyon ka sabab jo likhna..... to yeh bhi likhna.... larazte honton pe larkharati dua k suraj......pighal gaye hain tamaam sapney hi jal gaye hain!!!

Dastan_e_Dil

"Dastan_e_Dil suna kar ro parha

Eik pagal muskura kar ro parha
pehlay tanhai main rehta tha yeh dil ab k yeh mehfil saja kar ro parha

jab barhay had say khizan kay silsilay
baghban gardan jhuka kar ro parha

muskura uthin hawain dosto jab main koi geet ga kar ro parha
jis ko nafrat thi maray ashaar say woh meri ghazlain suna kar ro parha
aj Mairi qabar par koi pyar say shamain jala kar ro parha...

Ek Orr Gham

"Sach ye hai bekaar humen gham hota hai
jo chaha tha duniya main kam hota hai

Dhalta suraj phelaa jungle rasta gumm
Hum se pocho kesa aalam hota hai

Oron ko kab forsat hai dukh dene ki
jab hota hai koi humdam hota hai

Zehan ki shakhon per ashaar aajatay hain

Jab teri yadon ka mosam hota hai

Zakham to humne in aankhon se dekhe hain

Logon se sonte hain marham hota hai....

nice:k:

:k:…

:k:…

Re: To Yeh Bhi Likhna

Much better :k: nice stuff.

nice:k:

:biggthumb :biggthumb

:) :biggthumb

Re: Ek Orr Gham

[QUOTE]
*Originally posted by koiDost: *
jo chaha tha duniya main kam hota hai
Hum se pocho kesa aalam hota hai

[/QUOTE]

Khoob buhat khoob.........
:)

Re: A Suggestion

[QUOTE]
*Originally posted by koiDost: *

TERI GHIZA KIA HAI ..........
[/QUOTE]

lol

achy hasay shair ka kia bana dia ap nay??

and zaroori tu nahin kay jo bohat kay wo mota hi ho,ya jo mota ho wo bohat kay......

Re: Re: A Suggestion

[QUOTE]
*Originally posted by Swera: *

lol

achy hasay shair ka kia bana dia ap nay??

and zaroori tu nahin kay jo bohat kay wo mota hi ho,ya jo mota ho wo bohat kay......
[/QUOTE]

jee miss Swera jo bohat kahata hai woh mota hota hai our jo mota hota hai us ki ghiza waqai ziyada hoti hai :) ..

dekha sab ka sab yehi likh dala :( ab kya karon