dil k aiwaan may liyeh gul-shuda shammoN ki qitaar
noor-e-khursheed say sehmay huway uktaayeh huway
husn-e-mehboob k saiyaal tasavvur ki tarha
apni taareeki ko bhainchay huway, liptaayeh huway
ghaayat-e-sood-o-ziyaan, soorat-e-aghaaz o ma’aal
vohi be-sood tajassus, vohi bekaar sawaal
muzmahil saa’at-e-imroz ki be-rangi say
yaad-e-maazi say ghameeN, dasht-e-firdaa say nidhaal
tishna ifkaar jo taskeen nahi paatay hain
sookhta ashk jo aankhon may nahi aatay hain
ik karDa dard jo geet may dhalta he nahi
dil k tareek shighaafoN say nikalta he nahi
aur ik uljhi hui mohoom c darmaaN ki talaash
dasht-o-zindaan ki hawas, chaak-e-giraybaan ki talaash