Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain

**Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain
Hum parinday kaheen jatey howey mar jatey hain

Hum hain sookhay howey talaab pay baithy howey hans
Jo ta`aluq ko nibhatey howey mar jatey hain

Un kay bhee qatl kaa ilzaam humarey sar hay
Jo humain zehar pilatey howey mar jatey hain

Yeh mohabbat kee kahanee nahee martee laikin
Log kirdaar nibhatey howey mar jatey hain

Hum hain woh tootee howee kashtion waley faraz
Jo kinaron ko milatey howey mar jatey hain…!!!**

Re: Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain

aapki sharing kamal ki hoti hein :k:
:crying:

Re: Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain

**Hum hain sookhay howey talaab pay baithy howey hans
Jo ta`aluq ko nibhatey howey mar jatey hain

**:lajawab:

Re: Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain

**Hum hain woh tootee howee kashtion waley faraz
Jo kinaron ko milatey howey mar jatey hain…!!!

:lajawab:

Mujhe Hindi movies ki second heroineyaad aa gai jo hero k hisse ki goli khati hai, aur hero aur heroine k hath milwate huwe hain 15 minute ke dialogue bolne ke baad marti hai :hehe:
**