by Iqbal Bano.
A masterpiece ![]()
187.Iqbal Bano - Dasht-e-tanhai
==============================================
Dasht-e-tanhayee mein
Aay Jaan-e-jahaan, larzaan hain
Teri awaz kay saey
Tere hontoan kay suraab
Dasht-e-tanhayee mein
Duuri kay khas-o-khaak talay
Khil rahe hain tere
Pehlu kay saman
Aur Gulaab..
Uth rahi hai kahin
Qurbat sey,
Teri saans ki aanch
Apni khushbu mein
Sulagti hui,
Madham Madham
Duur ufaq paar chamakti hui
Qatra Qatra
Gir rahi hai teri
Dildaar nazar, ki shabnam
Iss qadar pyaar sey
Aay jaan-e-jahan rakha hai
Dil ki rukhsaar pey iss waqt
Teri yaad ney haath
Yunh gumaan hota hai
Gerchey hai abhi subah-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din
Aa bhi gayee
Wasal ki raat..