**Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain **
Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain
Tairi avaaz kay sae…tairay honton kay sarab
Dasht-e-tanhae main doori kay khas-o-khak talay
Khil rahay hain tairay pehlo kay saman aur gulaab
Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain
Uth rahee hai kaheen qurbat se tairi saanse ki aanch
Apni khushbo main sulagti hue madham madham
Door ufaaq paar chamakti hue qatra qatra
Gir rahi hai tairi dildaar nazar ki shabnam
Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain
Iss qadar pyaar se aae jaan-e-jahan rakha hai
Dil kay rukhsaar pay iss waqt tairi yaad nay hath
Yun gumaan hota hai gerchay hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din, aa bhi gae vasl ki raat
Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain
Tairi avaaz kay sae…tairay honton kay sarab
Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan Larzaan hain…