*~Dasht-e-Tanhae Main~*

Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain Tairi avaaz kay sae...tairay honton kay sarab Dasht-e-tanhae main doori kay khas-o-khak talay Khil rahay hain tairay pehlo kay saman aur gulaab Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain

Uth rahee hai kaheen qurbat se tairi saanse ki aanch
Apni khushbo main sulagti hue madham madham
Door ufaaq paar chamakti hue qatra qatra
Gir rahi hai tairi dildaar nazar ki shabnam
Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain

Iss qadar pyaar se aae jaan-e-jahan rakha hai
Dil kay rukhsaar pay iss waqt tairi yaad nay hath
Yun gumaan hota hai gerchay hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din, aa bhi gae vasl ki raat
Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan larzaan hain
Tairi avaaz kay sae…tairay honton kay sarab

Dasht-e-tanhae main aae jaan-e-jahan Larzaan hain…

By…
Faiz Ahmad Faiz

Very nice

one of my fav :k:

nice:)

Thanks all of You

:k: :k:

~~*If U wËrË @ têAr In My ËyË....
I \/\/Öuld Ha\/e Ne\/eR (riêd....
OF tHe Fe@R Of Lo§InG ù...
.¸¸.·´¨`»

Wah suraj jee .........


aap kay isi dar ki waja say uss nay apni aankhain barsat kar dain

Beautiful, thanks for Posting:~)

:k:

Buhat Khoob :k:

buhat khoob
it was also sung well!:k:

Re: ~Dasht-e-Tanhae Main~

bohat khoob :k: My fav shair :slight_smile:

Thanks all of you

zabardast choice !!