Dashat

Dashat he Dashat kinroon main nazar aata hai
khud sahara he saharoon main nazar aata hai

meri duniya main kiran hai na charaghaan koi
bas andhera he nazaroon main nazar aata hai

umer se dekhta hoon paa nahi sakta jisko
ik sitara jo sitaroon main nazar aata hai

main sulaghta hoon sada dard ke angaroon main
akas mera he shararoon main nazar aata hai

baghbaan mujhse sajao na ke weeran hoon main
main wo ghul hoon jo mazaroon main nazar aata hai

me likes:) you post a lot here. you a professional shair or s'thing.

Mashallah :slight_smile:

:flower2:

[QUOTE]
*Originally posted by paki_kurri: *
me likes:) you post a lot here. you a professional shair or s'thing.
[/QUOTE]

main to haalaat likhey jaata hoon apne jazbaat likhey jaata hoon
meri ghazaloon main kahani hai meri yadoon ki.
chand alfaazoon main taareek likhey jaatan hoon.

ab ye he samaj lo dost. wesey ya mera bachpan ka shouq hai aur dosroon aur apne haalaat ko main ghazaloon main likh deta hoon.