**Kisi Aaaine kaa hamne koi EhsaaN nahiN rakha
YaqeeN aisaa hai Dil pe, Aaankh per ImaaN nahiN rakhaa
Tere kHat teri TassweereiN maiN apne Pass kioUN rakhooN
Bicharh Jaane ka tujh se koi bhi ImkaaN nahiN rakhaa
Baseraa kar ya isko cHorh de yeh teri marzi hai
Keh Dil ko Dil hi rakhaa hai kabhi ZindaaN nahiN rakhaa**
(ZindaaN= Jail , Qaid`khaana)
**Meri Himmat bandhaati hai yeh meri Aaablapaai
Talaash-e-yaar ko maiN ne Azaab-e-JaaN nahiN rakhaa **
(Aablaa-Paai= Paoun meiN chaaloN ka honaa)
**Ab kahin boltaa nahiN gHaib jo kholtaa nahiN
Aisaa agar kHudaa tumne banaa lyiaa to keya
Jo hai kHuda kaa aadmi uski hai Saltanat alag
Zulm ne Zulm se agar Haath milaa liyaa to keyaa
**
[This message has been edited by Tassneef (edited June 28, 2002).]
ARYE aap ki ainak ka nomber abhi tak Theek nahin huwaa yeh Bhaateeji nahiN Behan
hai Completely Incomplete Bhaateji to barhi zaaheen hai ussko samajh ajati hai, aaakHir Zaheen ho bhi kiouN, Chori to bagHair Zahanat ke nahiN chalti na LOllz !
wesse shukriaa Ghazal Passand akrne kaa..!!
**Ab kahin boltaa nahiN gHaib jo kholtaa nahiN
Aisaa agar kHudaa tumne banaa lyiaa to keya
Jo hai kHuda kaa aadmi uski hai Saltanat alag
Zulm ne Zulm se agar Haath milaa liyaa zo keyaa
**
[This message has been edited by Tassneef (edited June 28, 2002).]
Wah wah…Excellent boss…You make a fine poet…But a request, please don’t dawdle too much in ishqiaa shaeeri…We have too many of them…And there are those like me that have ‘maslays’ of their own rather than thinking about the ‘zulf’…Ghalib by the way is my sleeping pill…Most times when he dawdles too…
) …MaiN na Faiz baNna chaahta hooN na Meer na Ghalib na Inshaa..maiN apni Pehchaan aap banNa chaahta hooN , magar Faiz, Meer Ghalib-o-Inshaa Jaissaaa ..kiouNkeh wo jo haiN wo apne apne Aaakash ke Sitaare haiN aur meri Manzil Suriyaa Sitaare se bhi kahiN aagey haiN…Baaqi uss Sitaare tak pohnchane ke lyie mere liye aik i Raastaa hai jiski kHaak Ghalib, Meer, Inshaa aur Faiz sahibaan jaise Shoaraa ke QadmoN se Munawar hui..maiN unki Roshneee meiN aage barhnaa chaahta hooN kiouNkeh DR Mohammad Illaama Iqbaal farmaate haiN:-
**Tu ShaaheeN hai,hai parwaaz kaam teraa
Tere Saamne AasmaaN aur bhi haiN **
Iss lyie jab tak maiN zindaa hooN mazeed se mazeed ki talaash meiN KoshaaN rahouNgaa

Hmmm bohot ho acha khuwaab hai aap ka…Aur humhe umeed hai keh jis tarha aap keh rehe hai ..aur aap ko apneh khuwaab par itna yakheen hai…To aap ka yeh khuwaab yakheen main badleh gha aik din…Inshallah
Lekin pher is dost ko bhool mat jahiyeh gha…okay…yaad rakhye gha humhe
Hum to aap keh liye humhesha duwa karhay ghay keh aap jo bhi apni zindagii main chahtay hai woh purah ho jahay ..Ameen