~*~ Dareecha-e-Nazam ~*~

:salam: Dostoon …

Jaisa ke thread ke title ko parh kar hi aap ko andaaza hogaya hoga ke is thread mein sirf aur sirf Nazmain hi share ki ja sakti hain … Mein is thread mein apni pasandeeda nazmain jin mein kaheen kaheen dukh, kaheen muhabbat yani kaheen gham aur kaheen khushi donoo ka imtezaaj shaamil hoga, aap ke sath share karunga, aap chahain tau apni pasand ki nazmain share kar sakte hain … Umeed hai ke aap ko zaroor pasand ayengi …

**
Agar yeh jaan’na chaaho koi kaise bikharta hai

Chamman mein ja ke khizaan mein

Kabhi pattoon ko dekho tum

Ya phir ek aaena le ao

Ussay pathar pe gira do

Agar mushkil hai tum ko

Tau kisi khoobsurat phool ko le lena

Ussay hawa ke dosh pe rakhna

Tau phir tum jaan jaoge

Koi kaise bikharta hai

Agar yeh bhi na kar sako

Tau mere paas aa jaana

Mera deedaar kar laina

Khabar yeh ho hi jayegi

Koi kaise bikharta hai …

**

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~

Suna hai yaad karti ho ... ?

Ke jab bhi shaam dhalti hai
Hijar mein jaan jaati hai
Tum apni raat ka aksar
Sukoon barbaad karti ho

Suna hai yaad karti ho ... ?

Jab panchi laut aatay hain
Ghamoon ke geet gaatay hain
Suno ! Tum laut aao na
Yehi fareyaad karti ho

Suna hai yaad karti ho ... ?

Sitaaray jab falak pe jagmagaatay hain
Woh beetay huwe pal
Jab bhi khoon rulaatay hain
Tum us dam apni aankhoon mein
Mujhe abaad kartay ho

Suna hai yaad karti ho ... ?

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~


**
Raat ka aakhri pehar thaa

Mujh se chaand ne kaha

Hum-nasheen alvida

Mujh ko neend aa rahi hai

Kal milenge issi jagah

Mein sun kar muskura diya

Us ko batla diya

Jaane walay laut'tay nahe

Tum nahe aaoge

Mujhe hai yakeen

Meri baat sun ke woh ruk gaya

Aur kehne laga

Tum se wada karun

Phir poora na karun

Aisa mumkin nahe

Sun ay ham-nasheen

Mein chaand hoon Insaan nahe ...
**

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~


**
Qasam tau khaa li hai tum ne

Mujhe kabhi na yaad karnay ki

Magar mein jaanta hoon ke tum

Mujhe kabhi na bhula sakogi

Din bhar hansnay khailnay mein shaayad

Meri yaad na aaye tumhein

Magar suno Janaan

Subha hotay hi

Takeyay per phaila huwa kajal

Chupa liya karna ke

Koi yeh jaan na sakay ke tum

Saari raat roti rahi ho ...
**

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~

**
Ishq ke ilaaqat mein

Hukam-e-yaar chalta hai

Zaabtay nahe chaltay

Husn ki adaalat mein aajzi tau chalti hai

Martabay nahe chaltay

Dosti ke rishton ki parwarish zarori hai

Silsilay taaluq ke khud se ban tau jatay hain

Lekin in shagoofoon ko

Tootnay bikharnay se

Rokna bhi parta hai

Chaahaton ki maati ko

Aarzoo ke pauday ko

Sainchna bhi parta hai

Ranjishoon ki baatoon ko

Bhoolna bhi parta hai

Kyon ke

Ishq ke ilaaqay mein

Hukam-e-yaar chalta hai

Zaabtay nahe chaltay ...
**

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~

**
Mein jab doob ke likhta hoon
Sab log mujh se yeh kehtay hain
Nazmoon se ishq khuda jaisa
Ghazaloon mein kaif udaasi ka
Kis dost ne tum ko saunpa hai
Mera ek jawab hamesha hai
Ek shaks jo shehar mein aaya thaa
Kuch roz woh mere saath raha
Mujhe lehjay ki amrat ras mein
Us ne kuch aisa rang diya
Har nazuk dil mooh lenay ka
Mere lafzoon ko aahang diya
Phir soch ke tanay-banay mein
Uljha kar mujh ko chor gaya
Kuch din se us ki yaad yunhi
Is dil pe dastak deti hai
Aur paun mein zanjeer pari
Kab hum ko janay deti hai
Kab dil mein us ki aas nahe
Yeh baat alag woh paas nahe ...
**

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~

Lovely poem Arif :k: …

baqi bhi bohat zabardast heiN :slight_smile:

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~

http://ri.rediffiland.com/homepimages/home3/914/69fd75a40834806811f43d2a0e493745/homep/images/1230267262

**
Muhabbat aisi kashti hai

Jo saahil per nahe aati

Issay manjdhaar mein rehna

Hamesha raas aata hai …

**

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~

Arif bhai you have started a very nice thread :k:

aur sabhi nazm boht achi share ki hain. inshallah main bhi zaror post karon gi apni favourite poems:)

Re: ~~ Dareecha-e-Nazam ~~

Beautiful Poems Arif..:lajawab: