Ahal-e-dil yon bhi nibha letay hain
dard senay main chupa letay hain
dil ki mehfil main ujalon ke liye
yaad ki shama jala letay hain
jaltay mosam main bhi ye deewane
kuch haseen phool khila letay hain
apni aankhon ko bana kar ye zuban
kitnay afsaane suna letay hain
jin ko jeena hai muhabbat ke liye
apni hasti ko mita letay hain
Re: Dard
Khan Saab. 
WelCome Jee WelCome 
How’re U.
And where have u been ??? Long Times.
I missed u so much. 
**bari der ki mehrbaan aatay aatay
**Anyways. The poem is really nice. :k:
And I hope that u keep sharing with us some good poetry. 
Re: Dard
Bhai thanx for remembering. Reason for absence is
Duniya nay teri yaad se begana kar diya
tujh se bhi dil fareb hain ghum rozgar kay

Re: Dard
^^ Sir Jee. Dekh lein ab aap. Gham-e-Rozgaar k shikaar ho tum bhi hein par
sabko hum bhool gaey josh-e-junooN mein lekin
ek teri yaad thi aesi k bhulaee na gaee :)
Re: Dard
wah ji...very nice!
**aabla_paa ji will u miss me when im gone? :D **