Dard

DARD

Aao lay jao meray dil kay khazaanaiN
Meri ZiNdagi ka haasil,yeh meray taraanay

TanhaaioN ka zahar piya hai is amrit kay liyay
TaNz-o-fikroN maiN jia hai is amrit kay liyay

Barti gai barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi
Meri deewangi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi

Uqta kay uth gaya har aashnaa kareeb say
Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay

Ik taraf urnay ki lalak
Ik taraf zameeN ki pakar
Ik taraf naiN dunia ka shauq
Ik taraf ajnabiyat ka khauf

Magar phir khudi nay behoshi ki aakhri zaNjeer bhi tor di
ParoN maiN hosh ka dum bhar aasmanoN say hor li

Nigaah phir uth hayi jeet haar kay swaal say
Ufq dar ufq barta gaya noor hosh kay jmaal say

Phir dil dil lay kar gaya yeh vus_at-e-ehsaas
Behosh sub hujoom thay laut aayaa main udaas

TanhaaioN main magar abhi bhi
Umeed ki lau jalti hai

__________________**

Re: Dard

Buhat khoob Brijinder sahab, keep sharing.

Re: Dard

I am very thankful to u,i,for understanding the pain n will of the poet.Regarding the will of the artist,I wrote once:

Ajnabi ban ban kay lagay milnay woh chehray aashnaa say
Chupkay say uth kay aa gaya maiN isliyay wahaaN say

Meri duniya maiN meri hi tarah aanaa "Sagar"
Chaaho jo kabhi aanaa uth kay apnay jahaaN say
Thanx once again.Hope this poem lingers in ur heart for some time n raises the same questions.