Abhi kuch dard baqi hay
Agarchay waqt marham hay
Magar kuch waqt lagta hay
Kisi ko bhool janay may
Dobara dil basanay may
Abhi kuch waqt lagna hay
Abhi kuch dard baqi hay
May kaysay nai ulfat may
Apni zaar gum ker doon
K meray jism-o-wajdan may
Abhi wo fard baqi hay
Abhi us shaksh ki mujh per
Nigah-e-sard baqi hay
Abhi tau ISHQ k rastoon ki
Mujh per gard baqi hay
Abhi wo dard baqi hay
Abhi wo dard……….
Re: Dard
nice sharing here dard :) carry onn
Re: Dard
thanks :)
Re: Dard
{{Abhi tau ISHQ k rastoon ki
Mujh per gard baqi hay}}
Very nice and captivating! Thanks for sharing DingDong.
Re: Dard
Waoo, Ding dong,,, nice,, Nazm,, and NIce nick....