Udaaseyaan jo naa laatay tu aur kya kartay
Na jashn-e-shola manaatay tu aur kya kartay
Andhera maang’ne aaya thaa roshni ki bheek
Hum apna ghar na jalaatay tu aur kya kartay !!!
DARD RUKTA NAHEE EK PAL BHI
ISHQ KI YEH SAZA MIL RAHI HAI
MAUT SE PEHLE HI MAR GAYE HUM
CHOUT NAZROON KI AISI LAGI HAI
Dard rukta nahee ek pal bhi … !
Bewafa itna ehsaan kar day
Kam se kam ishq ki laaj rakh lay
Do qadam chal ke kandhaa tu de day
Tere aashiq ki mayyat uthi hai
Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi … !
Raat kat’ti hai gin gin ke taaray
Neend aati nahee ek pal bhi
Ankh lagti nahee ab hamaari
Ankh us but se aisi lagi hai
Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi … !
Do qadam reh gaya thaa kinaara
Yak ba yak aa ke moujoon ne ghera
Dekho ay ehl-e-saahil tamaasha
Meri kashti kahaan doobti hai
Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi … !
Is kadar mere dil ko nichora
Ek qatra lahoo ka na chora
Jagmagaati hai jo unki khilwat
Woh mere khoon ki roshni hai
Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi … !
Larkharaata huwa jab bhi maaraaa
Un ki rangeen mehfil mein pohancha
Dekh kar mujh ko logoon se bola
Yeh wohi bewafa aadmi hai
Maut se pehle hi mar gaye hum
Chout nazroo ki aisi lagi hai
Dard rukta nahee ek pal bhi … !
Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega…!