Dania
1
**
Dard phir taza hoo gaye Baarishoon kay mosam main
Tum mujay phir yaad aa gaye Baarishoon kay mosam main
Tum say juda honay kaa Ghum jo tha meray ander
Dasnay laga hai who mujay Baarishoon kay mosam main
who Ek Mohabbat jo ab Raak si hoo gai hai
Uthta hai Duhaan us ka Baarishoon kay mosam main
Tum mujay yoon Tanha kar jaoo gay yeh na tha pata mujay
Katty hai Tanhie mujay Baarishoon kay mosam main
Tumharay beghair katta nahi Zindagi ka yeh safer
Thum gaya waqt bhi Baarishoon kay mosam main
Khizaan meray aagan main kuch yoon aker thari
Murja gaye sab hi phool Baarishoon kay mosam main
Sawan Baras ker kuch is terhan say Bain karta hai
Rok gaye sab hi Ansoo Baarishoon kay mosam main
Ab too intezar main meray Shab_O_Rooz ghuzartay hain
Pethraa gain Aankain bhi Baarishoon kay mosam main
Andehray kuch is tarhan say hoo gaye Meray Ander
Buch Jatay hain sab hi chirag Baarishoon kay mosam main
"RUKH"Ab too mujay kuch yoon gooman hota hai
Tooth gaye sab hi Rishtay Baarishoon kay mosam main…!!
**
MR.Neo
2
Kioon aati hai yeh baarish tanhaie lay ker
Her zakham taaza ker jati hai sakoon lay ker
:k:
Re: Dard phir taza hoo gaye Baarishoon kay mosam main
two thumbzzz up:flower1:
nice
and your signature :biggthumb