Dard ko ashk banaaney ki zaroorat kya thi
Tha jo iss dil mein dikhaaney ki zaroorat kya thi
Hum ne jo kuch bhi kiya apni mohabbat mein kiya
Go samajhtey hain zamaaney ki zaroorat kya thi
Ho jo chahat tau tapakt parti hai khud aankhon sey
Aye mere dost bataaney ki zaroorat kya thi
Itne hassaas hain saanson sey pighall jaatey hain
Bijliyaan hum pe giraaney ki zaroorat kya thi
Hum tau pehle bhi tere haq mein tahi_dast huwe
Aisey ghayel pe nishaaney ki zaroorat kya thi
Aisa lagta hai keh kamzor Bohat hai tu bhi
Jeet kar jashan manaaney ki zaroorat kya thi
Aankhon se hai shikwa na hi dil sey koi
Naqsh paani pe banaaney ki zaroorat kya thi