Dard ko ashak bananay ki zaroorat kia thi!
tha jo is dil may, dikhanay ki zaroorat kia thi!
Hum nay jo kuch bhi kia, apni mohabat may kia!
goo samjhtay hain, zamanay ki zaroorat kia thi!
ho jo chahaat tu tapak parti hai khud anhkhoon say!
aye meray dost, batanay ki zarorat kia thi!
itnay hassas hain, sansoo say pighal jatay hain!
bijliyan hum pay giranay ki zaroorat kia thi!
aisa lagta hai kay, kamzoor bohat hai tu bhi!
jeet k jashan mananay ki zaroorat kia thi!
(Saad-Ullah Shah)