Dard ki chadar men lipte
chand palon ko men ne socha
har aik rasta
har aik manzil
ruki hoi thi fiza men ab tak
koi bhi manzar
alag nahi hai juda nahi hai
har aik rishta
zamane bhar ki
ghata men lipta hoa hai jese
men kis nagar aur kis fiza ko apna manoo
k mujh se to
meri apni sanson ne
rukh hai morra
tumhe bhi muj pe rehem na aya
kabhi mera khayal na aya
badalte mosam ki dhun men tum bhi
badal gae rukh hawa ki tarha
men kis tarha tum se baat karti
wo din wo raaten
wo bekaran asmaan ki baaten
mere dil ki sunehri chadar men dab gae thin
tumhari yaadon ko orr kar
wo abdi neend ab so gae thin…!
plz give me comments.its my own creation !