dard ki aag bujha do ke abhi waqt naheen

dard ki aag bujha do ke abhi waqt naheen
zahm-e-dil jaag sakey, nishtar-e-ghum raqs karey
jo bhi sansoo mein ghula ho usay uryaan na karo
chup bhi shula’a hay magar koyi nah ilzaam dharey

marham-e-ashk naheen zahm-e-talab ka chaara
khoon bhi roein gey to kis khaak ki suj dhuj ho gi
kaamptey hathoon say tooti hui bunyadoun per
jo bhi dewaar uthaoo gay wohi kuj ho gi
koi paththar ho ke naghma, koi paikar ho ke rang
jo bhi tasweer banao gay apaahuj ho gi!

Nice...

thanx Lamhay...:)