Dard ke phool bhi khiltay hain bikhar jatay hain
-
Zakhm kaisay bhi hon kuch roz main bhar jatay hain*
-
Us dareechay mein bhi ab koi nahi aur hum bhi*
-
sir jhukaye huay chup chaap guzar jatay hain*
-
Rasta rokay kharhi hai yahi uljhan kub se*
-
Koi poochay tu kahain kya ke kidhar jatay hain*
-
Narm awaz bhali baatein muhazab lehjay*
-
Pehli barish main hi yeh rung utar jate hain*
-
Dard ke phool bhi khiltay hain bikhar jatay hain*
-
Zakhm kaisay bhi hon kuch roz mein bhar jatay hain*