sorry for mis sppillings
Zindagee kay Mailay main
khawaishon kay railay main
Tum say kiya kahain jana
Is kadar jhamailay main
Waqt kee rawani hay
Bakht kee garanee hay
Sakht bezamenee hay
Sakht lamakani hay
Hijar kay samundar main
Takhet aur takhtay kee
Ek hee kahanee hay
Tum ko jo sunanee hay
Dard kay samundar main
unginat jazeerain hain
Baishumar motee hain
Ankh kay dareechay main
tum nay jo sajaya tha
Baat us deay kee hay
baat us gilay kee hay
Jo lahoo kee khalwat main
chaur ban kay ataa hay
Lafz kee faseelon pay
toot toot jata hay
Zindagee say lambee hay
baat raatjagay kee hay
Raastay main kaisay ho
baat takhliye kee hay
Takhliye kee bataon main
guftagu izafee hay
Piyar karnay walon ko
ek nigah kafee hay
ho sakay to sun jao ek
rauz akailay main
tum say kiya kahain jana
is kadar jhamailay main