dard itna tha kay us ratt....

dard itna tha kay us ratt dil-e-vahshee nay
har rag-e-jann say ulajhna chahha
har ban-e-mo say tapakna chahha
or kaheen door teray sehan meen goya
pata pata miray afsurda lahoo meen dhul kar
husan-e-mahtab say aazarda nazar aanay laga
meray virana-e-tan meen goya
saray dukhtay hoay reshoon kee tanabeen khul kar
silsala var pata denay lageen
rukhsat-e-qafla-e-shoq ke tayaree ka
or jab yadd kee bhujhtee hoyee shamaon meen nazar aaya kaheen
ek pal
aakhree lamha tere dildaree ka
dard itna tha kay us say bee guzarna chahha
hum nay bee chahha
magar dil nay na thaharna chahha

wow bohat khoob :k:

:k:…
:flower1:

:k: :nahnah: :k:

very nice :K:

great:k: