Dard ho dil main to dawa kiGiay
Dil hi jab dard ho to kia kiGiay
Hum ko faryad karni aati hay
Aap suntay nahi to kia kiGiay
Inn buton ko khuda say kia matlub
Toba Toba, Khua khuda, kiGiay
Ranjh uThanay say bhi khushi hogi
Pehlay dil dard aashna kiGiay
Arz e shokhi, nishat e aalum hay
Hussan ko our khush’numa kiGiay
Dushmani ho chukii ba qadr e wafa
Ab haq e dosti aada kiGiay
Mout aati nahi kahain Ghalib~
Kab tak afssos zeest ka kiGiay