Dard hain mere lekin ~ koi aur sehta hai

Kis qadar seyaah hain din Aur sufaid raatain hain Maut ki khaamoshi mein Zindagi ki baatain hain Wakt ruk gaya hai aur Chaand taare chaltay hain Bujh gaya hai yeh sooraj Jism saare jaltay hain Dekhte hain haath aur pair Aankh sochti hai ab Lab sillay huwe hain aur Soch bolti hai ab Saans ab dharakti hai Dil lahoo mein behta hai Jism hai mera lekin Koi aur rehta hai Dard hain mere lekin Koi aur sehta hai Dushmani hai yaaroon se Bolti hain tasveerain Raaz saari duniya ke Khoolti hain tasveerain Khaar mein hai khushboo aur Phool khoon rulaatay hain Raastay bhi seedhay hain Manzilain bhi aasaan hain Na koi musaafir hai Na hi koi samaan hai Khwahishain nahee hain aur Na hi hai koi maqsood Jism-o-rooh ka rishta Ab kaheen nahee moujood ...

wah bahut thanks 4 sharing!

:k::k: