aadaab, dosto!
chhoTii bahr kii ek Ghazal pesh hai. ummeed hai pasand aayegii. aap kii raae kaa intizaar rahegaa.
**Ghazal
dard-e-dil kyaa hai, is kii shiddat kyaa
ham se puuchho ki hai muhabbat kyaa
ek chaadar, bichhaayii aur oRhii
ham se darvesh kii zaruurat kyaa!
maal-o-daulat kaa bolbaalaa hai
ilm-o-fan kii hai aaj vaq.at kyaa
ek afsaana, muKhtasir vo bhii
zindagii! hai tirii haqeeqat kyaa!
dil to chaahe hai jaane kyaa kyaa kuchh
dekhiye chaahtii hai qismat kyaa
baaNdh kar baazuoN ko tum mere
aazmaate ho mujh pe taaqat kyaa
karnaa eejaad nit naye fitne
hai yahii aadmii kii fitrat kyaa?
husn-e-dildaar, uff, Khudaa kii panaah!
is se baRh kar hai kuchh qayaamat kyaa?
vo to dushnaam bhii nahiiN dete
:Waseem: aisii bhii ham se nafrat kyaa!!!
Waseem Ahmed**