darakhtoun ki mehmaan nawaazi

Raastey key donoun taraf

lambey oonchey ghaney darakht

apni parchaayein sey raastey key

beechoun beech chataayi bichaatey huey dikhaai dein

darakhtoun kou naa jaaney kaisey

khabar mil gayi key hum

kari dhoop mein nikley hein

so, be-chaaroun ney hamarey

sastaaney kaa intizaam kar diya

ab hum unn sey kaisey kehtey

hamein chaltey rehnaa ho gaa

abhi rukney ki koi gunjaaish nahin!

lakin hum

logoun ki be-gaangi kou buraa kyun kahein

paeroun ki mehmaan nawaazi ki

kyun naa taareef karein?

Re: darakhtoun ki mehmaan nawaazi

Nice thought :k:

shayad agar paedon ke bhi paon hote to wo bhi chaon ki qeemat wasool karte :hmmm: