Dar~e~qufs say paray jab sab~aa guzarti hay
Kisay khabar keh aseerooN pay kiya guzarti hay
Yeh ehl~e~hijr ki basti hay ehtiyaat say chal
MuhabatooN ki yahaN intayha guzarti hay
BhaN~var say bach to gayeeN kashtiyaaN magar ab kay
DilooN ki khair keh mauj~e~bala guzarti hay
Na pooch apni ana~a say baghavataiN ~Mohsin~
Dar~e~qubool say bach kar dua~a guzarti hay