Daman barrhaa ke oon say yeh faryaad keejiey,
Saayil hoon shehr-i-ishq ka, imdaad kijiey.
Hay imtahaan-i-ishq to chaliey yunhee sahee,
Tesha oothaa ke apney ko Farhaad kijiey.
Tughianion ke kaandhey pe seekha hay ternaa,
Merey junoon kee to zara daad dijiey.
Kahiyey to mein sanwaar doon raatein janaab kee,
Tanhaa guzaar ker na yoon barbaad kijiey.
Yeh aap ke sheher mein charaghaan abhee se kiyoon?
Yeh jashn, yeh khushi to mere ba’ad kijiey.
Yaadein sameyt lijiey gar jaa rahey hein aap,
Per kaat ker merey to naa azaad kijiey.
Wehshat see ho rahee hey mujhey ab sukoon sey,
Mein oon sey keh rahaa hoon mujhe yaad kijiey.