Dair Kar Dayta Hoon MaiN
Hamaysha Dair Kar Dayta Hoon Main
Har Kaam Karnay MaiN
Zaroori Baat Karnay Main
Koi Waada Nibhaana Ho
Issay Awaaz Dayni Ho
Ussay Wapas Bulana Ho
Hamaysha Dair Kar Dayta Hoo’n MaiN !
Madad Karni Ho Uski
Yaar Ki Dharas bandhaana Ho
Buhat Dayreena Rastoo’n Par
Kissi Say Milnay Jaana Ho
Hamaysha Dair Kar Dayta Hoon MaiN !
Badaltay Mausamoo’m Ki Sair maiN
Dil Ko Lagana Ho
Kissi ko Yaad Rakhna Ho
Kissi Ko Bhool Jaana Ho
Hamaysha Dair Kar dayta Hoon MaiN !
Kissi Ko Maut Say PahlaY
Kissi Ghum Say Bachana Ho
Haqeeqat Aur Thee kuch..
Us Ko Ja Kar Yeh Batana Ho
HamayshaA DaiR KaR DaytaA HooN MaiN … :~(
** MuniR Niazi **