Daikh samandar
terey andar
kitney dariya behtey hein
kitni khalqat rehti tujh mein
daikh samandar
mein nai maanaa
itney khazaaney teri teh ke andar hein
jou ginti sey bhi bahir hein
daikh samandar
mera dil bhi aik khazaana
aik samandar
tujh sey baraa samandar hai
daikh samandar
mera Rabb bhi…
meray dil key andar hai.