**Daikh hamari deed kay kaarun kaisa qabil~E~deed hoa
Aik sitara baithay baithay tabish meiN khursheed hoa
Aaj to jani rasta taktay, shaam ka chand padeed hoa
Tou nay to inkaar kiya tha, dil kab na umeed hoa
Aan kay is beemar ko daikhay, tujh ko bhee taufeeq hoee
Lab pay is kay naam tha taira, jab bhi dard shadeed hoa
Haan is nay jhalki dikhlaee, aik hi pal ko dareechay meiN
Jano aik bijli lehraee, aalam aik shaheed hoa
Tou nay hum say kalam bhi chora, arz~E~wafa kay suntay hi
Pehlay kaun qareeb tha hum say, ab to aur ba~eed hoa
Duniya kay sab karaj choray, naam pay tairay Insha nay
Or isay kiya thoray ghum thay, taira ishq mazeed hoa.
By Ibn~E~Insha, the great asset of a literally catalogued
background.**