Kyun unhein apna kahein hum,jo wafa ka matlab jantay nahi
Aadhi hain asool toor dene ke,dastoor-e-duniya mantay nahi
Un ki be-rukhi bhi kehlaye mohabbat,hum karein to bewafai
Pyar main itnay andhay bhi nahi ke sahi ghalt pehchantay nahi
Kitaab main phool rakh dene say hote nahi dillon ke khilla pur
ho jinhein fasloon ki fiqr ,wo suni baatein sachi jantay nahi
Hua kartein hoongi kabhi bematlab dosti aur yaaraanay
Ab to khud ko bhi hum magar, kuch apna saga mantay nahi
![]()