Daayem paRa huaa teray dar par nahiN hooN meiN
khaak aisi zindagi pai kay pathar nahiN hooN meiN
kyuN gardish-e-madaam sey ghabraa naa jaye dil
insaan hooN pyaala-o-saaghar nahiN hooN meiN
yaa Rab zamaana mujh ko mittaata hai kis liye
loh-e-jahaN pai harf-e-muqarrar nahiN hooN meiN
hadd chahiye sazaa meiN aqoobat kay waastey
aakhir gunah-gaar hooN, kaafir nahiN hoon MeiN
kis waastey aziz nahiN jaantay mujhey
la’al-o-zamurrud-o-zar-o-gohar nahiN hooN meiN
rakhtay ho tum qadam meri aankhoN sey kyun daregh
rishtay meiN mehr-o-maah sey kamtar nahiN hooN meiN
kartey ho mukjh ko man’a qadam-bos kis liye
kiyaa aasmaan kay bhi baraabar nahiN hooN meiN
Ghaalib wazifa khuwaar ho, dou shah ko duaa
woh din gaye jo kehtay thay nokar nahiN hooN meiN