Asalam o Alikum aaj main aap k saath apney bohat he achey or respected freind ke poetry share karney ja rahi hoon umeed hai k aap daad deney main kanjoosi nahi karo geye.
Ajab Daastan-e-zest hay,
Na Hasil-e-vasool hay..
Kahan Kis ko kho K paa Lia,
Kahan Kis Ko Paa k Ganwa Diya,
Ye Terey Karam Ki Enayatain,
Sada mujh Per Meherban Youn Rahen,
Kabhe Apnay Gher Ka Pata Dia,
Kabhe Raastey Main Gira Dia,
2 or ashaars hain wo bhi yahan he post kar rahi hoon
1:Wo Jin k Piyaar Say Chalti The hamari Sansain,
Wo Kia gaey k Sansain Bhe sath Chor Gaen,
2:Us K isq ki inteha To Dekh Asif,
Wo jaan ker bewafa tujh ko,phir bhe tujh say piyaar karay,
aik or shair aap ka naam kar rahi hoon umeed hai pasand aaye gaa kuch to baat hai teri is masoomiyat main bhi humein apna he akas dekhi deta hai
*** By Asif (Aman khan)***
again kuch send kar rahi hoon umeed hai pasand aye gaa
Milay To Hum Kaye Bar **
**Laiken
Na Jane Kyun
Hamari Mulaqaat
Rasmi Se Rahi
Tumne Rasmen
Haal Poocha
Maine Bhi Rasmen Kaha
"THEEK HOON"
Yoon Bhut Kuch
Kahne Ki Khuwaish k Bawajood
Tumharay Dil Ki Baat
Dil Main Rah Gaye!! by Asif(Aman khan)