Re: Daal roti, Anda Chawal
YESSSSS…it is called “beRhnii”…ise beRhnii kiuN kahte haiN? kiuN k…poorbii zabaan meN kaam baRhaane yaa jhamele paalne yaa kisii ko ko phailaane ko “kaam beRhnaa” kahte haiN…chuN k is beRhnii kii taiyaariyoN meN kaam bahot beRhnaa paRtaa hai [daal ko kisii bartan meN ubaalna, usko sil pe peesnaa, usko kisii bowl meN rakhnaa, us meN masaale milaanaa, chapaatiyaaN banaanaa, unke andar daal bharnaa, unheN talnaa…] is liye is ko “beRhnii” kahte haiN. ![]()
iskaa combo do pyaaza gosht, do pyaaza qeema, dahi aur aam ke saath bahtareen hotaa hai.
ifeel like having some now.
aise pakwaan ko log kuchh bhook se ziyaada khaate haiN is liye ladies ko kuchh ziyaada hii pakaanaa paRtaa hai aur phir moHalle meN bhii aksar diyaa jaataa hai.
maiN ne to sirf Dhokla khaayaa hai and i liked it…Khaas kar is meN rye ke daane bahot mazaa dete haiN ![]()