hamko yaad aanay lagay
loug apnay diye jalaanay lagey
mainey yeh topic ghazal ka nahee khola. Yeh ghazal meray dil ka halut beyaan karti hai. Pata nahee aj kul kiya hota hai mujhay, mai baitha hota hun tou dil doobta hai. dil ki dhurkun teiz ho jati hai, sans may bhi problem hoti hai. aik dam teiz saans layta hun. dostun ko bataya to woh kehtay hai “Panic attak hai” mai abhi 34 ka hun aur Allah na karay dil ka dora parh jaye mujhay.
Khandaan may dil ki beemari hai baray borhun ko , kya mujhay bhi dil ki beemari iss umr may ho sakti hai??