salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Kahir hoNge.
DaaGh Dehlavii kii ek Haseen o jameel Ghazal pesh karne kii jasaarat kar rahaa huN is ummeed e qawii ke saath k Khowaandagaan kii tab’a-e-naazuk par baar-e-giraan na guzregii. to, mulaaHizah farmaaiye:
**
1.
sitam hii karnaa, jafaa hii karnaa, nigaah-e-ulfat kabhii na karnaa
tumheN qasam hai hamaare sar kii, hamaare Haq meN kamii na karnaa!**
**
2.
huaa agar shauq aaiine se to ruKh rahe raastii kii jaanib
misaal-e-'aariz safaaii rakhnaa, ba_rang-e-kaakul kajii na karnaa!
vohii hamaaraa tareeq-e-ulfat k dushmanoN se bhii mil ke chalnaa
yeh ek shai’va tiraa, sitam_gar!, k dost se dostii na karnaa!
ham ek rasta galii kaa uskii dikhaa ke dil ko huye pashimaaN
yeh Hazrat-e-Khizr ko jataa do kisii kii tum rah_barii na karnaa!
bayaan dard-e-firaaq kaisaa k hai vahaaN apnii yeh Haqeeqat
jo baat karnii to naala karna, nahiiN to vo bhii kabhii na karnaa!
madaar hai, NaaseHo! tumhiiN par, tamaam ab uskii munsifii kaa
zaraa to kahnaa Khudaa_lagii bhii, faqat suKhan_parvarii na karnaa!
burii hai, ai “DaaGh!”, raah-e-ulfat, Khudaa na le jaaye aise raste
jo apnii tum Khai’r chaahte ho to bhool kar dil_lagii na karnaa!**
** 8.
**
** kahaaN kaa aanaa, kahaaN kaa jaanaa, vo jaante hii nahiiN yeh rasmeN
vahaaN hai va’de kii bhii ye suurat kabhii to karnaa, kabhii na karnaa!
**
**
9.
hamaarii maiyat pe tum jo aanaa to chaar aaNsuu bahaa ke jaanaa
zaraa rahe paas-e-aabruu bhii, kahiiN hamaarii haNsii na karnaa!
**
le len lakin pehly ka pehla misra samaj aagay dusre ka matal
kia............galon (achi urdu kia hogi) pe blush on na ho achi tara face cleaning ho
matlab shaa'ir kah rahaa hai k agar moHabbat karnaa kabhii to achchhe Dhang se karnaa aur misaal ke taur pe aaine aur zebaa'ish-e-Husn kaa sahaaraa liyaa...aise saaf shaffaaf moHabbat k jaise aaine ke saamne seedhii khaRii ho, moHabbat par yaa moHabbat ke rishte par kabhii dhool na jamne denaa aise hii jaise aiine ko saaf kartii ho aur Husn-e-moHabbat ke liye jaise apne gaaloN ko blush kar ke Haseen rakhtii aur finally, Khudaa ke liye, apnii zulfoN ko jaise curl kartii ho vaise moHabbat meN kajii na karnaa...usko TeRhaa meRhaa na karnaa...clear?