**Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa
Hum bhi ji bharr ke jo ro laitay to achhaa hotaa
Aisaa toofaa’n to zindagi mai’n phir na aanay lagaa
Khud hee kashti ko duboo laitay to achha hotaa
Raat k uss peher jo woh diyaa buhjaat k chalay
unn ko aankho’n mai’n samo laitay to achha hotaa
Hum sawaalo’n ko nigaaho’n mai’n chhupaa rakhtay hai’n
Jhaank aankho’n mai’n kabho laitay to achha hotaa
Un k deedaar ki ik raah to baaqi thi kabhi
Garr jo ik shabb ko hee so laitay to achha hotaa
Un ke phoolo’n mai’n wo khushboo to abb nahi baaqi
Un ke kaantay hee chubho laitay to achha hotaa
Hum se manzil ka ta’ayyun na ho sakaa Sajid
Khud ko rasto’n mai’n jo kho laitay to achha hotaa**
LP
May 25, 2012, 3:34pm
2
Re: Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa
sad sad poetry
KKF
May 25, 2012, 4:51pm
3
Re: Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa
achchhii Ghazal hai magar chand misr'e Khaarij ul bahr haiN aur kuchh meN alfaaz kii be-tarteebii hai. tasHeeH kar lijiiyegaa...shukria share karne ke liye :)
Re: Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa
**Un k deedaar ki ik raah to baaqi thi kabhi
Garr jo ik shabb ko hee so laitay to achha hotaa
Bilkul sahi socha.. Neend puri karna lazmi hai :)
**
Re: Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa
ab iss pehle ke LP poochay, ye bataiye ke Behr kia hoti hai, aur kharij ul bahr se aap ki kia murad hai?
LP
May 25, 2012, 5:23pm
6
Re: Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa
I know behr kya hota hai…Amal explained it to me some days back
Re: Daagh daaman ke jo dho laitay to achhaa hotaa
Nice !!