rajey
1
Poori mehndi bhi lagani nahi aati ab tak
** Kyonkar aaya, tujhe geron se lagaana dil ka**
** In haseeno ka ladakpan hi rahe ya allah**
** Hosh aata hai, to aata hai sataana dil ka**
** Meri aagosh se kya hi wo tadap kar nikley**
** Unka jaana tha Elahi ke ye jaana dil ka**
** Bedili ka jo kaha haal to farrmatay hain**
** Kar liya toonay kahin aur thikaana dil ka**
** Chhod kar usko teri bazm se kyonkar ja-un**
** Ek janaazay ka uthaana hai, uthaana dil ka**
** Nigah e yaar ne kee khaana kharaabi aisi**
** Na thikaana hai zigar ka naa thikaana dil ka**
** Baad muddat ke ye a “Daag” samazh me aaya**
** Wahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka**
Ahmi
2
Re: Daag Dehlvi Ka Kalaam
Very nice.,.
KKF
3
Re: Daag Dehlvi Ka Kalaam
**bahtareen Ghazal...Hazrat-e-DaaGh to ustaad isii liye nahiiN kahte...ustaadaanah shaa'irii hai unkii...haaye:
Dilli Khaamosh hai k ab DaaGh na rahaa :(**
Re: Daag Dehlvi Ka Kalaam
I love ustaad’s kalaam ! thanks 4 sharing :k:
Aqls
5
Re: Daag Dehlvi Ka Kalaam
bohat aala
Re: Daag Dehlvi Ka Kalaam
bohat khoob
neha
7
Re: Daag Dehlvi Ka Kalaam
awesome:lajawab:
Re: Daag Dehlvi Ka Kalaam
kia baat hai ji......wah rajey..bohot aala kalaam pesh kia aap ne
rajey
9
Inshaalllah! Aap sabhi kadra dano ke dil tak pahunchi baat se "DAAG Ji" ki rooh ko bhi sukoon pahuncha hoga.
**Hum e bhi unki poori lambi gazal achhhi lagi, par ye sher khaas taur par....
Baad muddat ke ye a "Daag" samazh me aaya**
** Wahi daana hai kaha jis ne na maana dil ka**