**Bujhtey Huey Charaghon Ko Dhuwein Mein Dhalney Dou
Ye Dheemay Dheemay Jaltey Hain Kuch Dair Jalney Dou
Dunya Ka Kya Hai Ghafil Anjaam Hai Abhi
Uss Ko Apni Talkh-Navaeyyan Bhi Ugalney Dou
Matam He Ker Rahey Hain Ghubbar-e-Hayat Ka
Dil Say Vafoor-e-Yaas Kay Chashmey Ubalney Dou
Izhar-e-Gham Pay Kyun Meray Pehray Laga Diye
Dil Ka Ghubbar Bhi Kisi Rastey Nikalney Dou
Mana Kay Hum Angaroon Kay LayeQ Nahin Rahey
Kuch Jhuuti Raghbatoon Say Tou Dil Ko Behalney Dou**