credit cards use - haram

yehi to mein keh rahi hoon janaab ke aajkal ghar lena to farz-e-aiin hai and chonkey Islamic banking mein hamara nuqsaan ahi to ham facts ko tor ker paish kertay hain and kehtay hian ke SOOD jaiz hai . Sahooliyaat ke aaddi hain naa.Jahaan tak Lariba and Deewan bank kaa taaluq hai their way is simple.Mein ne unhian bohat chana hai I know more about Lariba so mein us ki misaal doon gi
For one thing ke documentation mein 6% soud kaa naam ata hai I called them and asked them woh kehnay lagey ke U.S ke law ke mutabiq aap soud ke baghair entry nahi ker saktay is liye ham ne yeh likha ahi lekin yeh sirf documentation ki had tak hai and lot of muslims like you and PSyah(very dissappointed ) think ke yeh ghalat hai but ham ghalat naih kertay
Number 2 un ki rent to own policy hai us mein aap kaa share ahista ahista barhta hai to hamesha doosri side ko faida hota hai joon joon aap rent detay hain ahista ahista aap kaa share barhta hai we were gonna buy a house to unhon ne yehi kaha ke aap apnay area ka rent batayein and three quotes le ker dein

Number 3 someone asked me this before and I disscussed it with them ke suppose eik ghar 400,000 kaa hia and 30 years ke baad US banking ke hisaab se hamein 800,000 ka parta hai to Lariba bhi to yehi kerta hai to faraq kaya sab ko yehi takleef hai bhaii koii haq halaal se kamaye gaa to us mein apna munaffa to rakhay gaa naa yaa nahi ,yaa sab Fi SACILLILLAH de day aap ko :faizy: jahaan tak is baat kaa taaluq hai ke woh apna munaffa kam kyoon nahi kertay to us kaa jawaab yeh hai ke bohat sarey hamray jaisay muslims un se loan nahi lein gay to yehi ho gaa na ke customer kam ho gaa and cheez mehngi ho gi.kher back to the topic mein ne LARIBA se yeh bhi poocha ke agar ajkal ki market mein ghar ki keemat kam ho rahi hai and mein ghar khareed ker year baad bechna chahoon to nuqsaan kaun bardaasht karey gaa to unhon ne yeh answer diya thaa ke agar 400,000 ka ghar 3,5000 mein bikay gaa to nuqsaan hamara ho gaa aap ka nahi you don’t need to walk away bank will take responsibility and baqi bank kaya kertay hian yaa to aap ko ghar chor ker bhaagna parta hai yaa aap mehngi kist detay rahein but agar aap nuqsaan mein ghar bechtay hain to bank aap ke peechay parh jata hai.