Re: Could you, please???
haha! This song reminds me of a spoof-y (if that's a word?) line I'd sung as a kid for one of my eldest cousin...it went, " Dabur ki dawaayein leti jaa, jaa tujhko pati bimaar mile; Maike ki hamesha yaad aaye, sasural me itni maar mile!!"
**hahaha...true! Allah na kare kiis kii beTii aise ghar jaaye :( aameen.
Rafi' saaHab marHoom [my favourite] ne is gaane to apni beTii ke kii shaadii ke dusra edin record karvaayaa thaa to jazbaat taazah the aur is gaan meN unhoN ne apnii aawaaz meN ek baap kaa sachchaa pyaar bhar diyaa...kia aawaaz kaa jaadoo jagaayaa thaa ... subHaan Allah :)
ji zaroor, insha Allah, ham post kar dete haiN. yeh lijiye:
shaadii kii machii hai dhoom, Khushii is roz luTaayii jaatii hai
seenoN se saraasar ranj o alam kii bata bhulaaii jaatii hai
saajan se milan kii KhushiyaaN bhii haiN, baabul se bichhaRne kaa Gham bhii
rotii huii dulhan ko haule se Dolii meN biThaayii jaatii hai
poshaak-e-'uroosii pahnaa kar, har rang ke phooloN ko laa kar
KhushiyoN ke taraane gaa gaa kar dulhan bhii sajaayii jaatii hai
kaliyoN ko chaman se chun chun kar sahre ko banaayaa jaataa hai
zulfoN ko saNwaaraa jaataa hai, mahndii bhii lagaayii jaatii hai
gulshan ne bhii apnii rang-e-dhanak ruKhsaar-e-HasiiN par Daali hai
surKhii ko churaa kar phooloN se hoNToN ko pilaayii jaatii hai
armaan o Khushii aur ai'sh o tarab ke meethe taraane gaa gaa kar
mastaana adaa tarzeN dil kii veena se sunaaii jaatii hai
tum shaad raho, aabaad raho, Khush_Haal raho, dulha_dulhan!
"Sahbaa" kii du'aa ko maHfil meN is tarHa se gaaii jaatii hai**