Today i was lookin through the calender in my cell fone n i just remembered that its 29 July n its Shikra’s wedding day n i got excited n feel like dancing many many congratulations Shikra n i wish that this day will be ur memorable day of ur life
Meri taraf say Shikra aur unki wife aur agar family ho to sub badhai aur mubaraak baad.
Maaf kijaay ga smilies main cake mila naheen bohat dhoondha shayad chamma na honay ki wajah say naheen mila warna to shayad main nain kisi ki post main cake daikha tha.
Waisay bhi cake agar mil bhi jata to main lalchi lalach ki wajah say khud hi kha jati per aap logon kay liaay thor’a bachaati zaroor. Ub daikhain ice cream mil bhi gia to main lalach ki wajah say khud hi kha rahi hoon. Baraay meharbani koi nazar naheen lagaaay.
Phoolon ka pyar bhara guldasta Bhai aur bhabhi kay liay aur buchon kay liaay baqi phool agar hon to.
bohat sari duaain aur naik khuwahishaat aap donon kay liay.
Allah aap dono ko duniawi aur akhrat dono ki khushion say bharpoor tareeqay say nawazay. Naik, salah aur farma bardaar aulaad aur unki bhi khushion say nawazay. Hamray saath khushion bharay yay din har saal mananay kay liaay aap shaitan ki tarha naheen balkay insaan ki tarha hamaisha maujood rahain.
Go kay hum aik doosray ko jaantay bilkul naheen laikin muslim honay kay natay hamaray darmiaan sab say bar’a aur behtareen rishta aur nata bun jata hai issi liaay main her musalmaan say khud hi free ho jati hoon aur batain karti hoon kay unsay to hamara bohat bara rishta aur nata hai.
Aap dono kay naam chota sa mohabbat bhara nazrana e aqeedat.
Khilo tum dono guslistaan main khushnuma phoolon ki tarha
Har din hon hamaisha tumharay baykaraan khushion ki tarha
Chaman ko gulzaar karo tum muattar darakhton ki tarha
Sajao ja ba ja moti baagh main chamaktay sitaron ki tarha
Allah aap logon ko hamaisha nazar e bud say bachchaay aur hum sub musalmanon ko aik doosray ka khair khuwaah banaay aur dil mohabbaton kay zariaay aik doosray say bundha rahay jo ub waqt ki ahm zaroorat hai.
Mubarakaan
Allah miya jori salamat raakian hamesha ke liye. May both of you be blessed in this new chapter of your lives. Ameen Sumameen.
Best of luck =D