**
Kuch lafzoon kay mafhoom kitnay wazni hutay hain
Hont unko kabhi ada nahi kar patay
Kuch un-kahi baatain hamesha unkahi rehti hain
Keh dainay say unki qeemat nahi rehti
Kuch Khuwaab kabhi pooray nahi hutay
Kay gar pooray hu jayain tu tabeer nahi milti
Kuch safar kabhi khatam nahi hutay
Kay inki koi manzil nahi huti
Jab zindagi ka hasil, Kuch lafz… unkahi baatain…
Adhoray khuwab… aur ek taweel sfar reh jata hay
Tu loag apni zaat ko apnay andar dafan kerkay
Zindagi guzarnay ki ek nayee rah nikaltay hain
Jissay COMPROMISE kehtay hain!
**