Re: Complete the shair (Poetry Game)
thats correct, mukammal ghazal hay
suno ye fakhr say ik raz bhi hum faash kartay hain
kabhi hum monh bhi dhotay thay, magar ab wash kartay hain
tha bachon kay liye bosa magar ab kiss hi kartay hain
satati theen kabhi yadain magar ab miss hi kartay hain
kabhi jo ammi abbu thay wohi ab mama papa hain
duaain jo kabhi detay thay wo buDhay ab syapa hain
kabhi naraaz hotay thay, magar ab mind kartay hain
jo masla kuch ulajh jaaye, solution find kartay hain
chehel qadmi kabhi kartay thay aur ab walk kartay hain
kabhi kartay thay hum batain magar ab talk kartay hain