Competition Nazam Of The Week

Re: Competition Nazam Of The Week

Ali,Ahmer,Arsalanah, Nice Sharings :bb:

Re: Competition Nazam Of The Week

USKO APNA BANAAOON KAISAY
Khush Thay Hum Akailay
Na thi Humien Koi Fikar
Dusron Ko Hansaya Krtay Thay Hum
Ghum Ko Nazdeeq Na Anay Detay Thay
Par Na Janay Kya Jadoo Tha Us Mai
Ka Wo Humien Dewana Kr Gae
Ab To Katata Nae Hai Din
Na ati hai Neend Raat Bahr
Hr Wqt Yaad Mai Rehty Hai WO
Na Janay Meri Hansi Kahan Chali Gae
Hanstay Hansty Bhe Ab To Ro Deta Hun
Hr Wqt Us Ki Yaad Mai Bechain Rehta Hun
Pr Usay Is baat Ka Ilm Nae Hai
Kahi Baar Usay Apnay Dil Ka Haal Sunana Chaha
Lakin Is Baat Ka Dar Rehta K kahien Wo Door Na Ho Jaye
Kasay Sunaon Mai Apnay Dil Ka Haal
Kasay Bataon K Kitna Chahta Hun Usay
Jo hai Her Waqt meray khyalon Mai
Usay Mai Apna Banaun Kasay……………..

Re: Competition Nazam Of The Week


meray naqsh ghar meray kooza ghar
mujhay toor day mujhay toor day
maiN khizaa'N raseeda shajar hooN ik
mujhay phir se azn-e-bahar day
meri zindghi ko ni'khaar day
mujhay bakhsh phir se hayat-e-no
mujhay ghoondh taai'baa ki khaak maiN
mera ghar madina maiN ho kahiN
meray dil maiN ghum'band-e-sabz ho
meray sar p taai'baa ki dhool ho
meray naqsh ghar meray kooza ghar
meray naqsh phir se baNa naa'ey
meray khad-o-khaal sanwaar day
jo meray naseeb maiN ye nahi
mujhay chaak per se utaar day








Re: Competition Nazam Of The Week

buhat Achchay :~)

Re: Competition Nazam Of The Week

SAFAR TANHA NHIN KARTE!

Safar tanha nahi karte
Suno! aisa nahi karte
Jissay Shafaf rakhna ho
Ussay maila nahi kartay,
Teri aankhean ijazat de,
Tou Hum kia kia nahi karte,
Bohat ujray huey ghar par,
safar jis ka muqaddar ho,
ussay rokka nahi kartay,
jo mil kar khud say kho jaey,
ussay ruswa nahi kartay,
chalo tum raaz ho apna,
tumhein afshaan nahi kartay,
yeh unchay paire kaisay hean,
kahin saaya nahi kartay,
jo dhun ho, kar guzarnay ki,
tou phir soocha nahi kartay,
kabhi hasnay say dartey hean,
kabhi roya nahi kartay,
sehar say pooch lo Mohsin,
ke hum soya nahi karte....

Re: Competition Nazam Of The Week

khud bhi ek post karne ki zehmat utha lete

Re: Competition Nazam Of The Week

Immu Koyal Bheegiyaad Nice Sharings :bb:
Ps PAli I Agree :bravo:

Re: Competition Nazam Of The Week

mera chota sa ye kaam kardo

sukoon ney dil ho qaraar e jaan ho
meri Amaa'n mera sayeba'n ho
bohat he mukhlis ho mehrbaa'n ho
mujhey yaqee'n hey
k jo bhi tum sey talab karoonga
Ata karogi
main naqad e jaan bhi jo tum sey maango
so wo bhi mujh pey fida karogi
to phir mera ek kaam kardo
tumherey daaman main jitney gham hein
wo sab k sab merey naam kardo
tumherye Anssoo
jo merey daaman main jazb hongeye
to khil uthonga
main is Ataye Azeem ter per
tumherey haq main dua karoonga
mujhey yaqeen hey k mujhey mayoos karsaki ho
na karsakoogi
or apney Ashkoon ka sab khazana
khushi khusi mujhey baksh do gi
main jis ki khwaish main jee raha hoon
Atta mujhey wo maqaam kardo
mera chota saa ye kaam kardo
tumherye daaman main jitney Ghum hein
wo sab k sab merey naam kardo

Re: Competition Nazam Of The Week

Nice Sharing Tahreem :bravo:

Re: Competition Nazam Of The Week

Mujhey judge to bana dia hey aap ney, lekin ab aap ke compeition or competitors ka khuda hi haafiz hey :D

Re: Competition Nazam Of The Week

:smack: ab kya kar saktay hain :nah:

Re: Competition Nazam Of The Week

wo kyun Amal ji?

Re: Competition Nazam Of The Week

mai bho soch rahi ho kuch post kar hi dou :snooty:

Re: Competition Nazam Of The Week

Shaan e be niazi pe qurbaan jaon :snooty:

Re: Competition Nazam Of The Week

ye sahiba kon hai? koi new member hai:konfused:

Re: Competition Nazam Of The Week

go n take ur urdu class :shireen:
dont flood :smilestar:

Re: Competition Nazam Of The Week

Agar kuch naam daina ho
Mujhay insaan mat kehna
Judaa chehray, judaa bay shak sabhi k naam hotay hain
Magar insaaniyat k abb yahan per daam hotay hain
Mere tum daam matt daina
Mujhay ye naam matt dainaa!

Agar kuch naam daina ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magar Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jayay
Mujhay aisay nahin rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa!

Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahin kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahin kehna!

Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki aankh main
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh main mujh ko kabhi
Aanay nahin dainaa
K qeemat aansoon ki abb adaa tum se nahin ho gee!
Nahin tum yun nahin kehnaa
Mujhay aansoo nahin kehnaa

Mujhay aankhon mainn bastaa ik haseen sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahin jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
Ke sapnay aankh main taaron ki tarhaa jhilmilaatay hain
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahin kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hain
Mujhay Apnaa Nahin Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hain!

Re: Competition Nazam Of The Week


ye jo regay dasht-e-firaaq hai

ye jo regay dasht-e-firaaq hai
ye rukay agar to nishaa'N milay
ye nishaa'n milay
ke fasiloon ke saleeb hai
gari huwi hai kaha kaha
mere asmaan se kidhar gaye
tere iltifaat ke kahkisha'N
meray be khbar mere be nishaa'N
ye rukay agar to pata chalay
main tha kis nagar main to raha kahA
ke zamaa'n-o-makaa'n ke wusa'taiN tujhay dekhnay ko taras gaye
woh mere nasseb ke barishain kisi aur chat par baras gaye

Re: Competition Nazam Of The Week

oooo hoooo

Re: Competition Nazam Of The Week

**TUM NE BHE KON SA CHAHA THA MUJHAY.....** Mere baatain bhe ghalat , meray iradaay bhe ghalat Bewafai ka yeh khud-sakhta bohtaan bhe tasleem mujhay Yeh bhe mana k gham-e-dehar jawaa'n tha to gham-e-jaa'n Ko mere aankh k ansoo na milay Jab armaanoo'n ke ye be-mehar hawaain mere soochoo'n ko jala daytee hain Main soochta hoon............ Jab gham-e-dehar ke palkaain tere janeb mere shiddet ko ghata dayte hain Main soochta hoon............ Jab kabhi apni jafaain mujhay apni negaahoo'n main gera dete hain Main soochta hoon ............. TUM NE BHE KON SA CHAHA THA MUJHAY ???????