woh college ki parhai woh pyar bhai baatein
woh syllabus ki tension woh exam ki raatein
woh canteen ki party woh friends ki laatein
woh rothna mana-na
woh bunk mulaqatein
proposal ki planning mein woh raat ka guzarna
phir class ke peche seat par sona
be-tuki baaton ko serious lena
woh matlab ki baatain hansi mein urana
na woh din hain
na raat. na gusa, na baatein
agar kuch hai to bus yaadain hi yaadain