*~~dard ki had say guzarna to abhi baqi hay
tuut kar mera bikharna to abhi baqi hay
paas aake meray dukh dard baantnay walay
mujhsay katra kay guzarna to abhi baqi hay
chand sheroon main kahan dhalti hay ehsaas ki aag
gum ka yeh rang nikharna to abhi baqi hay
rang-ay-rusvayee sahii shehar ki ivaroon par
naam 'rahid' ka ubharna to abhi baqi hay~~*